Woh radhey shyaam ki pani puri, woh chit chat ki chaat,
Woh Softy ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh pulla reddy ki mithai, woh kamat ka dosa,
Woh Gokul ki pav bhaji aur Ramser ka samosa.
Woh local bus ka 'suffer', woh tank bund ki hawa,
Woh dutch roses ke kante aur lumbini park ka sama.
Woh december ki zara si sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.
Woh holi ki masti, woh navratri ka garba,
Woh divali ke patakhe aur ganpati ka shor o sharaba.
Woh necklace road ka mohol, woh Gandipet ki leheren,
Woh doobte suraj ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh Best Bakers ke curry puff, woh blue sea ka chai,
Woh Garden(restaurant) ke lukmi biscuit, woh galliyon ka "rabdi
malai".
Woh bachpan key yaaden, woh PT kaa khel,
Woh Indira park ke jhaadiyan, jahaa hothey they mel.
Woh Minerva ka hot coffee cup aur Shopers shop mein shopping,
Woh James Street ka nazara aur Ameerpet ki building.
Woh Sangeet cinema ke queue, woh black ki pink ticket,
Woh Parade ka maidan, jahan bachche practice karte hain cricket.
Itni cheezen kehene ke baad, aur kitni karoon mein abaad,
Yeh shehar hain mera apna, jiska naam hai H Y D E R A B A D!!!
Ise chodke kahaan jaye, ise chodke kya hum paaye..
bache rahe hai char din, manzile nayi.. bichde raahe......

0 comments:
Post a Comment